jab kabhi koi kaam yaad aaya
jab kabhī koī kaam yaad aayā
tab unheñ merā naam yaad aayā
jab ye sochā ki un se thī pahchān
duur hī kā salām yaad aayā
phir nasheman kī abtarī dekhī
phir qafas kā nizām yaad aayā
phir vo shab vo sukūt kā aalam
phir ḳhudā kā kalām yaad aayā
aaj unheñ dekh kar mohabbat kā
qissa-e-nā-tamām yaad aayā
haa.e maazī ke ḳhairiyat naame
jaane kis kis kā naam yaad aayā
ban meñ dekhā jo vahshiyoñ kā hujūm
shahr kā izhdihām yaad aayā
jab kabhi koi kaam yaad aaya
tab unhen mera nam yaad aaya
jab ye socha ki un se thi pahchan
dur hi ka salam yaad aaya
phir nasheman ki abtari dekhi
phir qafas ka nizam yaad aaya
phir wo shab wo sukut ka aalam
phir KHuda ka kalam yaad aaya
aaj unhen dekh kar mohabbat ka
qissa-e-na-tamam yaad aaya
hae mazi ke KHairiyat name
jaane kis kis ka nam yaad aaya
ban mein dekha jo wahshiyon ka hujum
shahr ka izhdiham yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.