jab kabhi qatl-e-abru hoga
jab kabhī qatl-e-ābrū hogā
zard chehra lahū lahū hogā
chhoḌ bachche ko qatl se baaz aa
ye kisī maañ kī aarzū hogā
piiTh meñ jo chubho gayā ḳhanjar
koī kam-hausla adū hogā
dil ke zaḳhmoñ kī khul rahī hai zabāñ
dard mauzū-e-guftugū hogā
āñkheñ raushan dikhā.ī detī haiñ
sāmne koī māh-rū hogā
jab kabhi qatl-e-abru hoga
zard chehra lahu lahu hoga
chhoD bachche ko qatl se baz aa
ye kisi man ki aarzu hoga
piTh mein jo chubho gaya KHanjar
koi kam-hausla adu hoga
dil ke zaKHmon ki khul rahi hai zaban
dard mauzu-e-guftugu hoga
aankhen raushan dikhai deti hain
samne koi mah-ru hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.