jab kabhi tera nam lete hain
jab kabhī terā naam lete haiñ
dil se ham intiqām lete haiñ
merī barbādiyoñ ke afsāne
mere yāroñ kā naam lete haiñ
bas yahī ek jurm hai apnā
ham mohabbat se kaam lete haiñ
har qadam par gire haiñ par sīkhā
kaise girtoñ ko thaam lete haiñ
ham bhaTak kar junūñ kī rāhoñ meñ
aql se intiqām lete haiñ
jab kabhi tera nam lete hain
dil se hum intiqam lete hain
meri barbaadiyon ke afsane
mere yaron ka nam lete hain
bas yahi ek jurm hai apna
hum mohabbat se kaam lete hain
har qadam par gire hain par sikha
kaise girton ko tham lete hain
hum bhaTak kar junun ki rahon mein
aql se intiqam lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.