jab kaDi dhup se qadmon mein thakan aati hai
jab kaḌī dhuup se qadmoñ meñ thakan aatī hai
zindagī peḌ tale baiTh ke sustātī hai
ruuh ik marg ke aalam se guzartī hai yahāñ
zindagī ḳhud ko akelī jo kabhī paatī hai
jab bhī aatā hai mire dil meñ koī shor-e-tarab
ek ḳhāmoshī mire jism meñ chillātī hai
raqs karte haiñ mirī raah ke lashkar har sū
zindagī jab bhī koī giit nayā gaatī hai
ye kitābeñ ye risāle zarā tum bhī paḌh lo
in se achchhā.ī burā.ī kī samajh aatī hai
vo mire ḳhvāb kī ma.asūm sī pyārī laḌkī
memna god meñ le kar baḌā muskātī hai
maiñ to chaTTān huuñ sāhil kī mujhe kyā shikva
lahr chhū ke mire dāman ko palaT jaatī hai
jab kaDi dhup se qadmon mein thakan aati hai
zindagi peD tale baiTh ke sustati hai
ruh ek marg ke aalam se guzarti hai yahan
zindagi KHud ko akeli jo kabhi pati hai
jab bhi aata hai mere dil mein koi shor-e-tarab
ek KHamoshi mere jism mein chillati hai
raqs karte hain meri rah ke lashkar har su
zindagi jab bhi koi git naya gati hai
ye kitaben ye risale zara tum bhi paDh lo
in se achchhai burai ki samajh aati hai
wo mere KHwab ki masum si pyari laDki
memna god mein le kar baDa muskati hai
main to chaTTan hun sahil ki mujhe kya shikwa
lahr chhu ke mere daman ko palaT jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.