jab kaha tir teri aankh ne aksar mara
jab kahā tiir tirī aañkh ne aksar maarā
chitvaneñ pher ke bole ki barābar maarā
qadr kuchh bhī mire dil kī but-e-kāfir ne na kī
zulf-e-pechāñ se jo uljhā to mire sar maarā
jaan be-maut ḳhudā bhī nahīñ letā lekin
tū ne be-maut hī logoñ ko sitamgar maarā
chand zarre merī miTTī ke faqat haath aa.e
dasht-e-ġhurbat ke bagūloñ ne jo chakkar maarā
ik musalmān kā dil toḌ diyā kyā kahnā
apne nazdīk baḌā aap ne kāfar maarā
'muztar' aisā koī ab tak na huā aur na ho
maut ne haa.e 'abas dāġh-e-suḳhanavar maarā
jab kaha tir teri aankh ne aksar mara
chitwanen pher ke bole ki barabar mara
qadr kuchh bhi mere dil ki but-e-kafir ne na ki
zulf-e-pechan se jo uljha to mere sar mara
jaan be-maut KHuda bhi nahin leta lekin
tu ne be-maut hi logon ko sitamgar mara
chand zarre meri miTTi ke faqat hath aae
dasht-e-ghurbat ke bagulon ne jo chakkar mara
ek musalman ka dil toD diya kya kahna
apne nazdik baDa aap ne kafar mara
'muztar' aisa koi ab tak na hua aur na ho
maut ne hae 'abas dagh-e-suKHanawar mara
- Book : Khirman (Part-1) (Pg. 253)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Javed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.