jab kali par shabab aata hai
jab kalī par shabāb aatā hai
nik.hat-e-gul ko taab aatā hai
der ho jaa.e shaiḳh tauba meñ
jald vaqt-e-hisāb aatā hai
itnī be-sudh haiñ dhaḌkaneñ merī
kyā koī be-hijāb aatā hai
phir vo kahte haiñ dekh kar mujh ko
lo vo ḳhāna-ḳharāb aatā hai
naam bātoñ meñ jab mirā aa.e
ruḳh pe rang-e-gulāb aatā hai
do ghaḌī maut rok le koī
le ke qāsid javāb aatā hai
daur-e-furqat na pūchhiye ham se
niiñd aa.e na ḳhvāb aatā hai
jab bhī hotā huuñ mai-kade dāḳhil
mujh pe daur-e-shabāb aatā hai
vo jo ho jaa.eñ rū-barū ham se
ham ko un se hijāb aatā hai
sub.h-dam us kā baam par aanā
kākuleñ pech-o-tāb aatā hai
jab jabīn-e-'ḳhayāl' jhuk jaa.e
'arsh se māhtāb aatā hai
jab kali par shabab aata hai
nikhat-e-gul ko tab aata hai
der ho jae shaiKH tauba mein
jald waqt-e-hisab aata hai
itni be-sudh hain dhaDkanen meri
kya koi be-hijab aata hai
phir wo kahte hain dekh kar mujh ko
lo wo KHana-KHarab aata hai
nam baaton mein jab mera aae
ruKH pe rang-e-gulab aata hai
do ghaDi maut rok le koi
le ke qasid jawab aata hai
daur-e-furqat na puchhiye hum se
nind aae na KHwab aata hai
jab bhi hota hun mai-kade daKHil
mujh pe daur-e-shabab aata hai
wo jo ho jaen ru-baru hum se
hum ko un se hijab aata hai
subh-dam us ka baam par aana
kakulen pech-o-tab aata hai
jab jabin-e-'KHayal' jhuk jae
'arsh se mahtab aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.