jab KHema-zano! zor hawaon ka ghaTega
jab ḳhema-zano! zor havāoñ kā ghaTegā
ḳhuuñ merī hathelī kā tanāboñ pe malegā
ho pyaas to ḳhud apne hī hoñToñ kā lahū chuus
sūkhī huī jhīloñ meñ tujhe kuchh na milegā
jalte hue rastoñ ke liye dekh liyā kar
khiḌkī na khulegī to dhuāñ aur ghuTegā
bastī meñ ġharīboñ kī jahāñ aag lagī thī
sunte haiñ vahāñ ek nayā shahr basegā
peḌoñ kī agar nasl-kushī ḳhatm nahīñ kī
kuchh din meñ yahāñ peḌoñ kā saaya bhī bikegā
bas aag ubal saktī haiñ ye murda zamīneñ
bekār sī koshish hai yahāñ kuchh na ugegā
vo murda-dilī shaam se pahle kī adā thī
is vaqt to 'kaifī' kisī maqtal meñ milegā
jab KHema-zano! zor hawaon ka ghaTega
KHun meri hatheli ka tanabon pe malega
ho pyas to KHud apne hi honTon ka lahu chus
sukhi hui jhilon mein tujhe kuchh na milega
jalte hue raston ke liye dekh liya kar
khiDki na khulegi to dhuan aur ghuTega
basti mein gharibon ki jahan aag lagi thi
sunte hain wahan ek naya shahr basega
peDon ki agar nasl-kushi KHatm nahin ki
kuchh din mein yahan peDon ka saya bhi bikega
bas aag ubal sakti hain ye murda zaminen
bekar si koshish hai yahan kuchh na ugega
wo murda-dili sham se pahle ki ada thi
is waqt to 'kaifi' kisi maqtal mein milega
- Book : ras-Rang(Mehfil-e-Adab) (Pg. 5)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.