jab KHud hi ehtiyat ki sarhad se dur tha
jab ḳhud hī ehtiyāt kī sarhad se duur thā
kaise karūñ gila ki maiñ zaḳhmoñ se chuur thā
maiñ ne hī rāste se haTā.e the saare ḳhaar
maiñ ne ye kab kahā hai ki maiñ be-qusūr thā
mumkin nahīñ thā dosto apnā muhāsara
darbāriyoñ meñ koī to muḳhbir zarūr thā
dariyā-e-hādsāt kī maujeñ shadīd thiiñ
āvāz maiñ ne dī thī magar vo bhī duur thā
kyūñkar amīr-e-shahr ke tum ham-navā hue
'ashraf' tumheñ to achchhe-bure kā shu.ūr thā
jab KHud hi ehtiyat ki sarhad se dur tha
kaise karun gila ki main zaKHmon se chur tha
main ne hi raste se haTae the sare KHar
main ne ye kab kaha hai ki main be-qusur tha
mumkin nahin tha dosto apna muhasara
darbariyon mein koi to muKHbir zarur tha
dariya-e-hadsat ki maujen shadid thin
aawaz main ne di thi magar wo bhi dur tha
kyunkar amir-e-shahr ke tum ham-nawa hue
'ashraf' tumhein to achchhe-bure ka shuur tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.