jab kisi ek ko riha kiya jae
jab kisī ek ko rihā kiyā jaa.e
sab asīroñ se mashvara kiyā jaa.e
rah liyā jaa.e apne hone par
apne marne pe hausla kiyā jaa.e
'ishq karne meñ kyā burā.ī hai
haañ kiyā jaa.e bārhā kiyā jaa.e
merā ik yaar sindh ke us paar
nā-ḳhudāoñ se rābta kiyā jaa.e
merī naqleñ utārne lagā hai
aa.ine kā batāo kyā kiyā jaa.e
ḳhāmushī se ladā huā ik peḌ
is se chal kar mukālima kiyā jaa.e
jab kisi ek ko riha kiya jae
sab asiron se mashwara kiya jae
rah liya jae apne hone par
apne marne pe hausla kiya jae
'ishq karne mein kya burai hai
han kiya jae barha kiya jae
mera ek yar sindh ke us par
na-KHudaon se rabta kiya jae
meri naqlen utarne laga hai
aaine ka batao kya kiya jae
KHamushi se lada hua ek peD
is se chal kar mukalima kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.