jab kisi ko sahaarte hain log
jab kisī ko sahārte haiñ log
aas de de ke mārte haiñ log
ghoñp dete haiñ piiTh meñ ḳhanjar
qarz yuuñ bhī utārte haiñ log
dhokā khā jaate haiñ farishte tak
ruup aisā bhī dhārte haiñ log
kaisā sailāb hai zamāne meñ
paanī paanī pukārte haiñ log
dhuñdle chehroñ kā vāsta de kar
sirf ḳhud ko sañvārte haiñ log
kyā ġhazab hai ki zindagī apnī
be-ḳhudī meñ guzārte haiñ log
jab kisi ko sahaarte hain log
aas de de ke marte hain log
ghonp dete hain piTh mein KHanjar
qarz yun bhi utarte hain log
dhoka kha jate hain farishte tak
rup aisa bhi dhaarte hain log
kaisa sailab hai zamane mein
pani pani pukarte hain log
dhundle chehron ka wasta de kar
sirf KHud ko sanwarte hain log
kya ghazab hai ki zindagi apni
be-KHudi mein guzarte hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.