jab kisi laeq nahin hum jab kisi qabil nahin
jab kisī laa.eq nahīñ ham jab kisī qābil nahīñ
maut behtar aise jiine se to kuchh hāsil nahīñ
khīñchte ho kaisī bedardī se mere dil se tiir
chārasāzo kyā tumhāre pahluoñ meñ dil nahīñ
uḌ ga.ī hai hijr meñ shāhid haiñ taare charḳh ke
yād-e-jānāñ se hamārī niiñd tak ġhāfil nahīñ
dekh kar sūrat mirī kahte haiñ mere chāra-sāz
mar nahīñ saktā to ye jiine ke bhī qābil nahīñ
kuchh samajh kar majma.a-e-mahshar meñ aa nikle the ham
ġhaur se dekhā to ye zālim tirī mahfil nahīñ
aap the 'safdar' sar-e-mahfil kisī ke shikva-sanj
aap kahte the ki siine meñ hamāre dil nahīñ
jab kisi laeq nahin hum jab kisi qabil nahin
maut behtar aise jine se to kuchh hasil nahin
khinchte ho kaisi bedardi se mere dil se tir
chaarasazo kya tumhaare pahluon mein dil nahin
uD gai hai hijr mein shahid hain tare charKH ke
yaad-e-jaanan se hamari nind tak ghafil nahin
dekh kar surat meri kahte hain mere chaara-saz
mar nahin sakta to ye jine ke bhi qabil nahin
kuchh samajh kar majma-e-mahshar mein aa nikle the hum
ghaur se dekha to ye zalim teri mahfil nahin
aap the 'safdar' sar-e-mahfil kisi ke shikwa-sanj
aap kahte the ki sine mein hamare dil nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.