jab kisi ne aan kar dil se mere purKHash ki
jab kisi ne aan kar dil se mere purKHash ki
Qasim Ali Khan Afridi
MORE BYQasim Ali Khan Afridi
jab kisī ne aan kar dil se mire purḳhāsh kī
baat tab āshiq-garī kī maiñ jahāñ meñ faash kī
kyā kahūñ jis ne kiyā is husn ko ārāsta
chuum liije uñgliyāñ yaaro usī naqqāsh kī
ai musavvir jo huā manqūsh tere haath se
vo kahāñ tasvīr ban saktī kisī se qaash kī
kal tire kūche meñ maiñ jā kar ke sar apnā paTak
ro paḌā tujh ko nahīñ paayā bahut tālāsh kī
yaaro saaqī aur sharāb-o-sabza maujūd aaj hai
'āfrīdī' hai kabāb-e-dil pe jā shābāsh kī
jab kisi ne aan kar dil se mere purKHash ki
baat tab aashiq-gari ki main jahan mein fash ki
kya kahun jis ne kiya is husn ko aarasta
chum lije ungliyan yaro usi naqqash ki
ai musawwir jo hua manqush tere hath se
wo kahan taswir ban sakti kisi se qash ki
kal tere kuche mein main ja kar ke sar apna paTak
ro paDa tujh ko nahin paya bahut talash ki
yaro saqi aur sharab-o-sabza maujud aaj hai
'afridi' hai kabab-e-dil pe ja shabash ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.