jab koi mehrban nahin hota
jab koī mehrbāñ nahīñ hotā
dil mirā bad-gumāñ nahīñ hotā
har jagah bijliyāñ nahīñ girtīñ
har jagah āshiyāñ nahīñ hotā
jis fazā meñ hoñ aap jalva-fagan
us jagah āsmāñ nahīñ hotā
ashk āñkhoñ meñ aa hī jaate haiñ
hāl-e-dil dāstāñ nahīñ hotā
aap mujh ko jahāñ samajhte haiñ
maiñ ḳhud aksar vahāñ nahīñ hotā
jab talak bijliyāñ nahīñ girtīñ
āshiyāñ āshiyāñ nahīñ hotā
mai-kada ho ki bazm-e-va.az 'sa.īd'
zikr apnā kahāñ nahīñ hotā
jab koi mehrban nahin hota
dil mera bad-guman nahin hota
har jagah bijliyan nahin girtin
har jagah aashiyan nahin hota
jis faza mein hon aap jalwa-fagan
us jagah aasman nahin hota
ashk aankhon mein aa hi jate hain
haal-e-dil dastan nahin hota
aap mujh ko jahan samajhte hain
main KHud aksar wahan nahin hota
jab talak bijliyan nahin girtin
aashiyan aashiyan nahin hota
mai-kada ho ki bazm-e-waz 'said'
zikr apna kahan nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.