jab maiñ dil kā hisāb likhtā huuñ
ġham ko apne gulāb likhtā huuñ
koī ummīd jab nahīñ hotī
ḳhud ke ḳhat kā javāb likhtā huuñ
itnā māyūs us ne kar Daalā
us kā jalva hijāb likhtā huuñ
laakh samjhā.e mujh ko tū nāseh
terī bāteñ azaab likhtā huuñ
saarī duniyā hai jāntī 'sarvar'
maiñ to ġhazleñ ḳharāb likhtā huuñ
jab main dil ka hisab likhta hun
gham ko apne gulab likhta hun
koi ummid jab nahin hoti
KHud ke KHat ka jawab likhta hun
itna mayus us ne kar Dala
us ka jalwa hijab likhta hun
lakh samjhae mujh ko tu naseh
teri baaten azab likhta hun
sari duniya hai jaanti 'sarwar'
main to ghazlen KHarab likhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.