jab main kirdar tak nahin aaya
jab maiñ kirdār tak nahīñ aaya
ghar se bāzār tak nahīñ aaya
us ko rakkhā ġhazal ke lahje meñ
phir bhī iz.hār tak nahīñ aaya
aise mansūr kī qayāmat kyā
jo kabhī daar tak nahīñ nahīñ aaya
jaane kis kis kā ghar jalā hogā
aaj aḳhbār tak nahīñ aaya
zindagī us ke naam aise kī
harf inkār tak nahīñ aaya
jab main kirdar tak nahin aaya
ghar se bazar tak nahin aaya
us ko rakkha ghazal ke lahje mein
phir bhi izhaar tak nahin aaya
aise mansur ki qayamat kya
jo kabhi dar tak nahin nahin aaya
jaane kis kis ka ghar jala hoga
aaj aKHbar tak nahin aaya
zindagi us ke nam aise ki
harf inkar tak nahin aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.