jab main us aadmi se dur hua
jab maiñ us aadmī se duur huā
ġham mirī zindagī se duur huā
maiñ bhī us ke makān se niklā
vo bhī merī galī se duur huā
dil se kāñTā nikālne ke ba.ad
dard apnī kamī se duur huā
vo samajhtā rahā ki ro.egā
maiñ baḌī ḳhāmushī se duur huā
rāste meñ jo ik samundar thā
merī tishna-labī se duur huā
vo jise mujh se duur honā thā
maiñ to 'arshad' usī se duur huā
jab main us aadmi se dur hua
gham meri zindagi se dur hua
main bhi us ke makan se nikla
wo bhi meri gali se dur hua
dil se kanTa nikalne ke baad
dard apni kami se dur hua
wo samajhta raha ki roega
main baDi KHamushi se dur hua
raste mein jo ek samundar tha
meri tishna-labi se dur hua
wo jise mujh se dur hona tha
main to 'arshad' usi se dur hua
- Book : Pakistani Adab (Pg. 312)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.