jab main uske ghar ko jaya karta tha
jab maiñ us ke ghar ko jaayā kartā thā
darvāza ḳhud hī khul jaayā kartā thā
vo us kā kirdār nibhāyā kartī thī
maiñ apnā kirdār nibhāyā kartā thā
vo chūlhe meñ roTī sekā kartī thī
maiñ jangal se lakḌī laayā kartā thā
khul jaate the patjhaḌ ke mausam meñ bhī
maiñ peḌoñ ko sher sunāyā kartā thā
jab jab maiñ royā kartā thā sāhil par
dariyā mujh ko dekh ke royā kartā thā
jab main us ke ghar ko jaya karta tha
darwaza KHud hi khul jaya karta tha
wo us ka kirdar nibhaya karti thi
main apna kirdar nibhaya karta tha
wo chulhe mein roTi seka karti thi
main jangal se lakDi laya karta tha
khul jate the patjhaD ke mausam mein bhi
main peDon ko sher sunaya karta tha
jab jab main roya karta tha sahil par
dariya mujh ko dekh ke roya karta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.