jab milega wo muskura dega
jab milegā vo muskurā degā
laakh ġham kī bas ik davā degā
ibtidā meñ pata nahīñ chaltā
beach meñ kaun kab daġhā degā
vo jo paanī ke ghar meñ rahtā hai
aag lagne pe bas havā degā
āḳhirī din mirā vo hī hogā
mujh ko apnā vo jab batā degā
us kī aadat hī hai ki de kuchh bhī
kuchh nahīñ to mujhe duā degā
jab milega wo muskura dega
lakh gham ki bas ek dawa dega
ibtida mein pata nahin chalta
beach mein kaun kab dagha dega
wo jo pani ke ghar mein rahta hai
aag lagne pe bas hawa dega
aaKHiri din mera wo hi hoga
mujh ko apna wo jab bata dega
us ki aadat hi hai ki de kuchh bhi
kuchh nahin to mujhe dua dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.