jab meri zist ke unwan nae matlub hue
jab mirī ziist ke unvāñ na.e matlūb hue
mere a.amāl meñ armān bhī mahsūs hue
un meñ sab apnā pata apnā nishāñ DhūñDte haiñ
jitne afsāne tire naam se mansūb hue
sab dikhāte haiñ tirā aks mirī āñkhoñ meñ
ham zamāne ko isī taur se mahbūb hue
jin ko īmān thā nazroñ kī masīhā.ī par
dil kī bastī se jo guzre baḌe mahjūb hue
qatre qatre se lahū ke ise sarsabz kiyā
aur dīvāne isī shāḳh pe maslūb hue
jab meri zist ke unwan nae matlub hue
mere aamal mein arman bhi mahsus hue
un mein sab apna pata apna nishan DhunDte hain
jitne afsane tere nam se mansub hue
sab dikhate hain tera aks meri aankhon mein
hum zamane ko isi taur se mahbub hue
jin ko iman tha nazron ki masihai par
dil ki basti se jo guzre baDe mahjub hue
qatre qatre se lahu ke ise sarsabz kiya
aur diwane isi shaKH pe maslub hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.