jab na tab suniye to karta hai wo iqrar baghair
jab na tab suniye to karta hai wo iqrar baghair
Roy Sarb Sukh Diwana
MORE BYRoy Sarb Sukh Diwana
jab na tab suniye to kartā hai vo iqrār baġhair
guftugū ham se use par nahīñ inkār baġhair
bazm meñ raat bahut sāda-o-pur-fan the vale
garmī-e-bazm kahāñ us but-e-ayyār baġhair
dekh bīmār ko tere ye tabīboñ ne kahā
ho chukī us ko shifā sharbat-e-dīdār baġhair
jaan par aa banī hamdam mirī ḳhāmoshī se
baat kuchh ban nahīñ aatī hai ab iz.hār baġhair
jis kī ḳhātir ke liye yaar sab aġhyār hue
kyuuñ ki 'dīvāna' bhalā rahiye ab us yaar baġhair
jab na tab suniye to karta hai wo iqrar baghair
guftugu hum se use par nahin inkar baghair
bazm mein raat bahut sada-o-pur-fan the wale
garmi-e-bazm kahan us but-e-ayyar baghair
dekh bimar ko tere ye tabibon ne kaha
ho chuki us ko shifa sharbat-e-didar baghair
jaan par aa bani hamdam meri KHamoshi se
baat kuchh ban nahin aati hai ab izhaar baghair
jis ki KHatir ke liye yar sab aghyar hue
kyun ki 'diwana' bhala rahiye ab us yar baghair
- Book : Noquush (Pg. B-400 E-410)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.