jab naqab-e-chehra-e-qatil khula
jab naqāb-e-chehra-e-qātil khulā
tab dil-e-vābasta-e-bismil khulā
jab chaḌhāyā daar par mansūr ko
tab muammā-e-haq-o-bātil khulā
jaane vāloñ par adam ke kyā banī
kuchh na hāl-e-saḳhtī-e-manzil khulā
merī ḳhāmoshī kā ik charchā huā
band lab rakhne se rāz-e-dil khulā
hasrat-e-dīdār-e-qātil dekhnā
rah gayā hai dīda-e-bismil khulā
zarf 'ālī' dekh ai pīr-e-muġhāñ
pī gayā ḳhum aur na rāz-e-dil khulā
jab naqab-e-chehra-e-qatil khula
tab dil-e-wabasta-e-bismil khula
jab chaDhaya dar par mansur ko
tab muamma-e-haq-o-baatil khula
jaane walon par adam ke kya bani
kuchh na haal-e-saKHti-e-manzil khula
meri KHamoshi ka ek charcha hua
band lab rakhne se raaz-e-dil khula
hasrat-e-didar-e-qatil dekhna
rah gaya hai dida-e-bismil khula
zarf 'ali' dekh ai pir-e-mughan
pi gaya KHum aur na raaz-e-dil khula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.