jab naqab-e-ruKH-e-zeba wo uTha dete hain
jab naqāb-e-ruḳh-e-zebā vo uThā dete haiñ
dil-e-har-zarra ko ā.īna banā dete haiñ
ruuh ko soz diyā daaġh jigar ko baḳhshā
hazrat-e-ishq ajab dād-e-saḳhā dete haiñ
sub.h-dam sehn-e-gulistāñ meñ sabā ke jhoñke
ātish-e-dard-e-mohabbat ko havā dete haiñ
ab bhī ik ġhairat-e-nāhīd ke naġhme aksar
umr-e-rafta ko mirī mujh se milā dete haiñ
'nayyar'-e-zār kī qismat bhī jagāte jaate
aap so.e hue fitne to jagā dete haiñ
jab naqab-e-ruKH-e-zeba wo uTha dete hain
dil-e-har-zarra ko aaina bana dete hain
ruh ko soz diya dagh jigar ko baKHsha
hazrat-e-ishq ajab dad-e-saKHa dete hain
subh-dam sehn-e-gulistan mein saba ke jhonke
aatish-e-dard-e-mohabbat ko hawa dete hain
ab bhi ek ghairat-e-nahid ke naghme aksar
umr-e-rafta ko meri mujh se mila dete hain
'nayyar'-e-zar ki qismat bhi jagate jate
aap soe hue fitne to jaga dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.