jab pattharon ke shahr mein humne azan di
jab pattharoñ ke shahr meñ ham ne azaan dī
us roz mūratoñ ko ḳhudā ne zabān dī
phir kyā bachegā terī masīhā.ī kā bharam
jab tere dar pe maiñ ne kisī roz jaan dī
mujh ko mile vo tiir shikasta the jin ke phal
phir us pe mustazād ki TuuTī kamān dī
mish’al-ba-kaf maiñ saltanat-e-shab meñ kyā gayā
merī duhā.ī raat ne saat āsmān dī
le aaj mere ḳhirqa-e-sad-chāk kā ḳhirāj
jā ai amīr-e-shahr ki jaañ tujh ko daan dī
mujh ko 'atā hue the nishāñ sharq-o-ġharb ke
phir us ke baa'd ek lahad be-nishān dī
tujh ko tilism-e-hosh-rubā sā milā thā ruup
mujh ko bhī us ne ek alag dāstān dī
maiñ terā naam le ke chalā daar kī taraf
yuuñ tū ne mujh ko daulat-e-har-do-jahān dī
maiñ dekhtā rahā thā bahut der ik ġhazal
phir dil ne mujh ko ek ġhazal tarjumān dī
'hammād' shahr-e-zulm kī har riit hai 'ajab
jo fasl jal chukī thī usī kī lagān dī
jab pattharon ke shahr mein hum ne azan di
us roz muraton ko KHuda ne zaban di
phir kya bachega teri masihai ka bharam
jab tere dar pe main ne kisi roz jaan di
mujh ko mile wo tir shikasta the jin ke phal
phir us pe mustazad ki TuTi kaman di
mish’al-ba-kaf main saltanat-e-shab mein kya gaya
meri duhai raat ne sat aasman di
le aaj mere KHirqa-e-sad-chaak ka KHiraj
ja ai amir-e-shahr ki jaan tujh ko dan di
mujh ko 'ata hue the nishan sharq-o-gharb ke
phir us ke ba'd ek lahad be-nishan di
tujh ko tilism-e-hosh-ruba sa mila tha rup
mujh ko bhi us ne ek alag dastan di
main tera nam le ke chala dar ki taraf
yun tu ne mujh ko daulat-e-har-do-jahan di
main dekhta raha tha bahut der ek ghazal
phir dil ne mujh ko ek ghazal tarjuman di
'hammad' shahr-e-zulm ki har rit hai 'ajab
jo fasl jal chuki thi usi ki lagan di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.