jab payam-e-visal aata hai
jab payām-e-visāl aatā hai
hijr kā bhī ḳhayāl aatā hai
kaash ye baat vo samajh paate
husn par bhī zavāl aatā hai
dard se āshnā agar dil ho
shā.erī meñ kamāl aatā hai
un se iz.hār-e-hāl kaise karūñ
zehn meñ ye savāl aatā hai
ek had hai uruuj kī 'shāhid'
baad is ke zavāl aatā hai
jab payam-e-visal aata hai
hijr ka bhi KHayal aata hai
kash ye baat wo samajh pate
husn par bhi zawal aata hai
dard se aashna agar dil ho
shaeri mein kamal aata hai
un se izhaar-e-haal kaise karun
zehn mein ye sawal aata hai
ek had hai uruj ki 'shahid'
baad is ke zawal aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.