jab rone baiThta hun tab kya kasar rahe hai
jab rone baiThtā huuñ tab kyā kasar rahe hai
rūmāl do do din tak juuñ abr tar rahe hai
āh-e-sahar kī merī barchhī ke vasvase se
ḳhurshīd ke muñh uupar aksar sipar rahe hai
aagah to rahiye us kī tarz-e-rah-o-ravish se
aane meñ us ke lekin kis ko ḳhabar rahe hai
un rozoñ itnī ġhaflat achchhī nahīñ idhar se
ab iztirāb ham ko do do pahr rahe hai
āb-e-hayāt kī sī saarī ravish hai us kī
par jab vo uTh chale hai ek aadh mar rahe hai
talvār ab lagā hai be-Dol paas rakhne
ḳhuun aaj kal kisū kā vo shoḳh kar rahe hai
dar se kabhū jo aate dekhā hai maiñ ne us ko
tab se udhar hī aksar merī nazar rahe hai
āḳhir kahāñ talak ham ik roz ho chukeñge
barsoñ se va.ada-e-shab har sub.h par rahe hai
'mīr' ab bahār aa.ī sahrā meñ chal junūñ kar
koī bhī fasl-e-gul meñ nādān ghar rahe hai
jab rone baiThta hun tab kya kasar rahe hai
rumal do do din tak jun abr tar rahe hai
aah-e-sahar ki meri barchhi ke waswase se
KHurshid ke munh upar aksar sipar rahe hai
aagah to rahiye us ki tarz-e-rah-o-rawish se
aane mein us ke lekin kis ko KHabar rahe hai
un rozon itni ghaflat achchhi nahin idhar se
ab iztirab hum ko do do pahr rahe hai
aab-e-hayat ki si sari rawish hai us ki
par jab wo uTh chale hai ek aadh mar rahe hai
talwar ab laga hai be-Dol pas rakhne
KHun aaj kal kisu ka wo shoKH kar rahe hai
dar se kabhu jo aate dekha hai main ne us ko
tab se udhar hi aksar meri nazar rahe hai
aaKHir kahan talak hum ek roz ho chukenge
barson se wada-e-shab har subh par rahe hai
'mir' ab bahaar aai sahra mein chal junun kar
koi bhi fasl-e-gul mein nadan ghar rahe hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.