jab samaat teri aawaz talak jati hai
jab samā'at tirī āvāz talak jaatī hai
jaane kyuuñ paañv kī zanjīr chhanak jaatī hai
phir usī ġhaar ke asrār mujhe khīñchte haiñ
jis taraf shaam kī sunsān saḌak jaatī hai
jaane kis qarya-e-imkāñ se vo lafz aatā hai
jis kī ḳhushbū se har ik satr mahak jaatī hai
mū-qalam ḳhuuñ meñ Dubotā hai musavvir shāyad
aañkh kī putlī se tasvīr chipak jaatī hai
dāstānoñ ke zamānoñ kī ḳhabar miltī hai
aa.ine meñ vo parī jab bhī jhalak jaatī hai
ḳhushk pattoñ meñ kisī yaad kā sho'la hai 'sa.īd'
maiñ bujhātā huuñ magar aag bhaḌak jaatī hai
jab sama'at teri aawaz talak jati hai
jaane kyun panw ki zanjir chhanak jati hai
phir usi ghaar ke asrar mujhe khinchte hain
jis taraf sham ki sunsan saDak jati hai
jaane kis qarya-e-imkan se wo lafz aata hai
jis ki KHushbu se har ek satr mahak jati hai
mu-qalam KHun mein Dubota hai musawwir shayad
aankh ki putli se taswir chipak jati hai
dastanon ke zamanon ki KHabar milti hai
aaine mein wo pari jab bhi jhalak jati hai
KHushk patton mein kisi yaad ka sho'la hai 'said'
main bujhata hun magar aag bhaDak jati hai
- Book : duniyaa zaad (Pg. 208)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.