jab sambhal kar qadam uThata hun
jab sambhal kar qadam uThātā huuñ
koī Thokar zarūr khātā huuñ
aap se jab nazar milātā huuñ
kaun huuñ kyā huuñ bhuul jaatā huuñ
mujh pe ai rañg Dālne vaalo
maiñ to rañgoñ kā janmdātā huuñ
vaqt hai mubtalā-e-ḳhvāb-e-adam
Thokareñ maar kar jagātā huuñ
zehn aisā hai kuchh parāganda
yaad kartā huuñ bhuul jaatā huuñ
DhūñDhte phir rahe haiñ donoñ jahāñ
dekhiye kis ke haath aatā huuñ
ab nahīñ hai karāhne kī sakat
choT khātā huuñ muskurātā huuñ
jab sambhal kar qadam uThata hun
koi Thokar zarur khata hun
aap se jab nazar milata hun
kaun hun kya hun bhul jata hun
mujh pe ai rang Dalne walo
main to rangon ka janmdata hun
waqt hai mubtala-e-KHwab-e-adam
Thokaren mar kar jagata hun
zehn aisa hai kuchh paraganda
yaad karta hun bhul jata hun
DhunDhte phir rahe hain donon jahan
dekhiye kis ke hath aata hun
ab nahin hai karahne ki sakat
choT khata hun muskuraata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.