jab se aabaad kiya qais ne virane ko
jab se ābād kiyā qais ne vīrāne ko
chheḌne aatī hai lailā tire dīvāne ko
pūchh sayyād na kuchh ruuh ke ghabrāne ko
qafas-e-tan se ye kahtī hai nikal jaane ko
dekh mastāna ghaTāoñ ko zarā ai saaqī
dosh par aaj sabā laatī hai maiḳhāne ko
hosh to gum the ga.ī sharm bhī rusvā.ī bhī
kaun hai ab jo sañbhāle tire dīvāne ko
daaġh aise diye yārān-e-vatan ne 'safdar'
jī nahīñ chāhtā ab sū-e-vatan jaane ko
jab se aabaad kiya qais ne virane ko
chheDne aati hai laila tere diwane ko
puchh sayyaad na kuchh ruh ke ghabrane ko
qafas-e-tan se ye kahti hai nikal jaane ko
dekh mastana ghaTaon ko zara ai saqi
dosh par aaj saba lati hai maiKHane ko
hosh to gum the gai sharm bhi ruswai bhi
kaun hai ab jo sanbhaale tere diwane ko
dagh aise diye yaran-e-watan ne 'safdar'
ji nahin chahta ab su-e-watan jaane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.