jab se bandha hai tasawwur us ruKH-e-pur-nur ka
jab se bāñdhā hai tasavvur us ruḳh-e-pur-nūr kā
saare ghar meñ nuur phailā hai charāġh-e-tūr kā
baḳht-e-vāzhūñ se jale kyuuñ dil na mujh mahrūr kā
marham-e-kāfūr se muñh aa gayā nāsūr kā
is qadar mushtāq huuñ zāhid ḳhudā ke nuur kā
but bhī banvāyā kabhī maiñ ne to sañg-e-tūr kā
tujh ko laa.e ghar meñ jannat ko jalāyā rashk se
ham-baġhal tujh se hue pahlū dabāyā huur kā
gor-e-kāfir kis liye hai tīra-o-tār is qadar
paḌ gayā saaya magar merī shab-e-dījūr kā
husn-e-yūsuf aur tere husn meñ itnā hai farq
choT ye nazdīk kī hai vaar thā vo daur kā
qasr-e-tan bigḌā kisī kā gorkan kī ban paḌī
ghar kisī kā gir paḌā ghar bin gayā mazdūr kā
chehra-e-jānāñ se sharmā kar chhupāyā ḳhuld meñ
ḳhāma-e-taqdīr ne khīñchā jo naqsha huur kā
hājat-e-mushshāta kyā ruḳhsār-e-raushan ke liye
dekh lo gul kāTtā hai kaun sham-e-tūr kā
zulf-o-rū-e-yār se nairañg-e-qudrat hai ayaañ
mahr ke panje meñ hai dāman shab-e-dījūr kā
ḳhāksārī kar jo ho manzūr āñkhoñ meñ jagah
ḳhaak ho kar surma bin jaatā hai patthar taur kā
ġhāfiloñ ke kaan kab khulte haiñ san kar shor-e-hashr
sone vāloñ ko jagā saktā nahīñ ġhul duur kā
pūchh lenā sab vatan kā haal ai ahl-e-adam
baiTh lene do zarā aatā huuñ uTThā daur kā
ijz karte haiñ adū-e-jān se bhī ḳhāsān-e-haq
jhuk gayā sar aage pā-e-dār par mansūr kā
maut kyā aa.ī tap-e-furqat se sehat ho ga.ī
dam nikalne se badan ThanDā huā ranjūr kā
jaate haiñ mai-ḳhāna-e-ālam se ham sū-e-adam
kah do az-ḳhud-raftagī se hai irāda duur kā
mūziyoñ ko hādsoñ se dahr ke kyā ḳhauf hai
bārish-e-bārāñ se ghar girtā nahīñ zambūr kā
chashm-e-sāġhar be-sabab har dam lahū rotī nahīñ
muġhbachoñ se sāqiyā dil phaT gayā añgūr kā
jaate haiñ mai-ḳhāna-e-ālam se ham sū-e-adam
kah do az-ḳhud-raftagī se hai irāda duur kā
kī nazar jis par kudūrat se rahā ḳhāmosh vo
hai asar gard-e-nigāh-e-yār meñ sindūr kā
jalva-e-māshūq har jā hai basīrat ho agar
kirmak-e-shab-tāb meñ aalam hai sham-e-tūr kā
mar ke yārān-e-adam ke paas pahuñchūñgā 'amīr'
chalte chalte jaan jā.egī safar hai duur kā
jab se bandha hai tasawwur us ruKH-e-pur-nur ka
sare ghar mein nur phaila hai charagh-e-tur ka
baKHt-e-wazhun se jale kyun dil na mujh mahrur ka
marham-e-kafur se munh aa gaya nasur ka
is qadar mushtaq hun zahid KHuda ke nur ka
but bhi banwaya kabhi main ne to sang-e-tur ka
tujh ko lae ghar mein jannat ko jalaya rashk se
ham-baghal tujh se hue pahlu dabaya hur ka
gor-e-kafir kis liye hai tira-o-tar is qadar
paD gaya saya magar meri shab-e-dijur ka
husn-e-yusuf aur tere husn mein itna hai farq
choT ye nazdik ki hai war tha wo daur ka
qasr-e-tan bigDa kisi ka gorkan ki ban paDi
ghar kisi ka gir paDa ghar bin gaya mazdur ka
chehra-e-jaanan se sharma kar chhupaya KHuld mein
KHama-e-taqdir ne khincha jo naqsha hur ka
hajat-e-mushshata kya ruKHsar-e-raushan ke liye
dekh lo gul kaTta hai kaun sham-e-tur ka
zulf-o-ru-e-yar se nairang-e-qudrat hai ayan
mahr ke panje mein hai daman shab-e-dijur ka
KHaksari kar jo ho manzur aankhon mein jagah
KHak ho kar surma bin jata hai patthar taur ka
ghafilon ke kan kab khulte hain san kar shor-e-hashr
sone walon ko jaga sakta nahin ghul dur ka
puchh lena sab watan ka haal ai ahl-e-adam
baiTh lene do zara aata hun uTTha daur ka
ijz karte hain adu-e-jaan se bhi KHasan-e-haq
jhuk gaya sar aage pa-e-dar par mansur ka
maut kya aai tap-e-furqat se sehat ho gai
dam nikalne se badan ThanDa hua ranjur ka
jate hain mai-KHana-e-alam se hum su-e-adam
kah do az-KHud-raftagi se hai irada dur ka
muziyon ko hadson se dahr ke kya KHauf hai
barish-e-baran se ghar girta nahin zambur ka
chashm-e-saghar be-sabab har dam lahu roti nahin
mughbachon se saqiya dil phaT gaya angur ka
jate hain mai-KHana-e-alam se hum su-e-adam
kah do az-KHud-raftagi se hai irada dur ka
ki nazar jis par kudurat se raha KHamosh wo
hai asar gard-e-nigah-e-yar mein sindur ka
jalwa-e-mashuq har ja hai basirat ho agar
kirmak-e-shab-tab mein aalam hai sham-e-tur ka
mar ke yaran-e-adam ke pas pahunchunga 'amir'
chalte chalte jaan jaegi safar hai dur ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.