jab se dekha janab ka chehra
jab se dekhā janāb kā chehra
dil ko bhāyā na dūsrā chehra
aap ko dekh kar ye bhed khulā
kis ko kahte haiñ chāñd sā chehra
be-sabab chāñd baam par aaya
sab kī nazroñ meñ thā tirā chehra
husn dekho na ho kabhī rusvā
duur se un kā dekhnā chehra
paḌhte paḌhte hayāt biit ga.ī
kitnī lambī kitāb thā chehra
hoñ nigāheñ jo dekhne vaalī
dil kā hotā hai aa.ina chehra
sar to sajde meñ jhuk gayā lekin
thā nigāhoñ meñ yaar kā chehra
aaj baiThe haiñ bazm meñ ġhammāz
un ke chehre se tū haTā chehra
chehre chehre chahār-sū chehre
tujh sā lekin kahāñ dikhā chehra
kis tarah log haiñ lagā lete
ek chehre pe nit-nayā chehrā
hashr meñ kaise le ke jāoge
apnā kālikh-bharā 'sadā' chehrā
jab se dekha janab ka chehra
dil ko bhaya na dusra chehra
aap ko dekh kar ye bhed khula
kis ko kahte hain chand sa chehra
be-sabab chand baam par aaya
sab ki nazron mein tha tera chehra
husn dekho na ho kabhi ruswa
dur se un ka dekhna chehra
paDhte paDhte hayat bit gai
kitni lambi kitab tha chehra
hon nigahen jo dekhne wali
dil ka hota hai aaina chehra
sar to sajde mein jhuk gaya lekin
tha nigahon mein yar ka chehra
aaj baiThe hain bazm mein ghammaz
un ke chehre se tu haTa chehra
chehre chehre chahaar-su chehre
tujh sa lekin kahan dikha chehra
kis tarah log hain laga lete
ek chehre pe nit-naya chehra
hashr mein kaise le ke jaoge
apna kalikh-bhara 'sada' chehra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.