Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab se ek chand ki chahat mein sitara hua hun

Ahmad Fareed

jab se ek chand ki chahat mein sitara hua hun

Ahmad Fareed

MORE BYAhmad Fareed

    jab se ik chāñd chāhat meñ sitārā huā huuñ

    shahr-e-shab-zād āñkhoñ sahārā huā huuñ

    ai mire dard ke dariyā ravānī mujhe dekh

    maiñ tire qurb se kaT kaT ke kināra huā huuñ

    zindagī! tujh munāfiq bhī koī kyā hogā

    terā shahkār huuñ aur terā maarā huā huuñ

    bujh ga.e jab mire sab ḳhvāb o charāġh o mahtāb

    shahr-e-zulmat ko maiñ tab ke gavārā huā huuñ

    sāmne phir mire apne haiñ so maiñ jāntā huuñ

    jiit bhī jā.ūñ to ye jañg maiñ haarā huā huuñ

    zaḳhm gintā huuñ shab-e-hijr meñ aur sochtā huuñ

    maiñ to apnā bhī na thā kaise tumhārā huā huuñ

    maiñ payambar huuñ na ho saktā huuñ phir bhī 'ahmad'

    aisā lagtā hai sar-e-ḳhāk utārā huā huuñ

    jab se ek chand ki chahat mein sitara hua hun

    shahr-e-shab-zad ki aankhon ka sahaara hua hun

    ai mere dard ke dariya ki rawani mujhe dekh

    main tere qurb se kaT kaT ke kinara hua hun

    zindagi! tujh sa munafiq bhi koi kya hoga

    tera shahkar hun aur tera hi mara hua hun

    bujh gae jab mere sab KHwab o charagh o mahtab

    shahr-e-zulmat ko main tab ja ke gawara hua hun

    samne phir mere apne hain so main jaanta hun

    jit bhi jaun to ye jang main haara hua hun

    zaKHm ginta hun shab-e-hijr mein aur sochta hun

    main to apna bhi na tha kaise tumhaara hua hun

    main payambar hun na ho sakta hun phir bhi 'ahmad'

    aisa lagta hai sar-e-KHak utara hua hun

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 292)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now