jab se maddham meri qismat ke sitare hue hain
jab se maddham mirī qismat ke sitāre hue haiñ
naf' ke naam pe bhī mujh ko ḳhasāre hue haiñ
ek tum ho ki muqaddar ke sikandar Thahre
ek ham haiñ ki jo hālāt ke maare hue haiñ
bhuul jaate haiñ har ik dāġh-e-jigar 'iid ke din
par vo lamhe jo tire saath guzāre hue haiñ
ek jhapkī meñ hī mumkin hai ki kankar ban jaa.eñ
ye jo kuchh log tirī aañkh ke taare hue haiñ
baat kuchh yuuñ hai ki kuchh yaad nahīñ hai ham ko
haañ magar raat ko ruḳhsat jo sitāre hue haiñ
ye sitāre tirī tashbīh ke qābil nahīñ haiñ
ye sitāre to tire sar ke utāre hue haiñ
kyā hameñ bhī koī ā.īna banā saktā hai
ham ne sahrā meñ ka.ī saal guzāre hue haiñ
vaqt mil jaa.e to ham par bhī karam kar denā
kab se dāman tirī chaukhaT pe pasāre hue haiñ
jab se maddham meri qismat ke sitare hue hain
naf' ke nam pe bhi mujh ko KHasare hue hain
ek tum ho ki muqaddar ke sikandar Thahre
ek hum hain ki jo haalat ke mare hue hain
bhul jate hain har ek dagh-e-jigar 'id ke din
par wo lamhe jo tere sath guzare hue hain
ek jhapki mein hi mumkin hai ki kankar ban jaen
ye jo kuchh log teri aankh ke tare hue hain
baat kuchh yun hai ki kuchh yaad nahin hai hum ko
han magar raat ko ruKHsat jo sitare hue hain
ye sitare teri tashbih ke qabil nahin hain
ye sitare to tere sar ke utare hue hain
kya hamein bhi koi aaina bana sakta hai
hum ne sahra mein kai sal guzare hue hain
waqt mil jae to hum par bhi karam kar dena
kab se daman teri chaukhaT pe pasare hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.