jab se maine ishq ka pairahan pahna hai
jab se maiñ ne ishq kā pairāhan pahnā hai
sūraj mujh se aañkh churātā phirtā hai
is kī bāteñ mujh se to ab pūchho nā
haal us kā bhī bilkul mere jaisā hai
kaise us ko dil kī hālat samjhā.ūñ
baat karūñ to aañkh churāne lagtā hai
kuchh na kahnā us kī bhī majbūrī hai
sharm-o-hayā kā dāman us ne thāmā hai
dekh use sab zikr hamārā karte haiñ
us kī aañkh meñ sirf hamārā chehra hai
rāz-e-mohabbat kaise bhalā us ko likkhūñ
ḳhat merā vo dostoñ meñ bhī paḌhtā hai
jab se main ne ishq ka pairahan pahna hai
suraj mujh se aankh churaata phirta hai
is ki baaten mujh se to ab puchho na
haal us ka bhi bilkul mere jaisa hai
kaise us ko dil ki haalat samjhaun
baat karun to aankh churane lagta hai
kuchh na kahna us ki bhi majburi hai
sharm-o-haya ka daman us ne thama hai
dekh use sab zikr hamara karte hain
us ki aankh mein sirf hamara chehra hai
raaz-e-mohabbat kaise bhala us ko likkhun
KHat mera wo doston mein bhi paDhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.