jab se marne ki ji mein Thani hai
jab se marne kī jī meñ Thānī hai
kis qadar ham ko shādmānī hai
shā.irī kyuuñ na raas aa.e mujhe
ye mirā fann-e-ḳhāndānī hai
kyuuñ lab-e-iltijā ko duuñ jumbish
tum na mānoge aur na maanī hai
aap ham ko sikhā.eñ rasm-e-vafā
mehrbānī hai mehrbānī hai
dil milā hai jinheñ hamārā sā
talḳh un sab kī zindagānī hai
koī sadma zarūr pahuñchegā
aaj kuchh dil ko shādmānī hai
jab se marne ki ji mein Thani hai
kis qadar hum ko shadmani hai
shairi kyun na ras aae mujhe
ye mera fann-e-KHandani hai
kyun lab-e-iltija ko dun jumbish
tum na manoge aur na mani hai
aap hum ko sikhaen rasm-e-wafa
mehrbani hai mehrbani hai
dil mila hai jinhen hamara sa
talKH un sab ki zindagani hai
koi sadma zarur pahunchega
aaj kuchh dil ko shadmani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.