jab se mere dil mein aa kar ishq ka thana hua
jab se mere dil meñ aa kar 'ishq kā thānā huā
hosh-o-sabr-o-aql-o-dīñ kyā sab se begāna huā
dil hamārā ḳhāna-e-allāh gar mash.hūr thā
so butoñ ke 'ishq meñ ab ye bhī but-ḳhāna huā
qissa-e-farhād-o-majnūñ raat din paḌhte the ham
so to vo maazī paḌā ab apnā afsāna huā
raat din ye soch rahtā hai mire dil ke ta.iiñ
ai ḳhudā yaañ se vo jā kar kis kā ham khānā huā
kyā haqīqat pūchhtā hai merī tanhā.ī kī tū
jab ki mere paas se pyāre tirā jaanā huā
bhuuk pyaas aur niiñd sab jaatī rahī ai jān-e-man
balki in logoñ meñ maiñ mash.hūr dīvānā huā
shaiḳh jī aayā na vā'de par to ab 'āsif' kā yaar
tum to ḳhush hoge tumhārā hī jo farmānā huā
jab se mere dil mein aa kar 'ishq ka thana hua
hosh-o-sabr-o-aql-o-din kya sab se begana hua
dil hamara KHana-e-allah gar mashhur tha
so buton ke 'ishq mein ab ye bhi but-KHana hua
qissa-e-farhad-o-majnun raat din paDhte the hum
so to wo mazi paDa ab apna afsana hua
raat din ye soch rahta hai mere dil ke tain
ai KHuda yan se wo ja kar kis ka hum khana hua
kya haqiqat puchhta hai meri tanhai ki tu
jab ki mere pas se pyare tera jaana hua
bhuk pyas aur nind sab jati rahi ai jaan-e-man
balki in logon mein main mashhur diwana hua
shaiKH ji aaya na wa'de par to ab 'asif' ka yar
tum to KHush hoge tumhaara hi jo farmana hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.