jab se pesh-e-nazar us yar ki peshani hai
jab se pesh-e-nazar us yar ki peshani hai
Meer Shamsuddeen Faiz
MORE BYMeer Shamsuddeen Faiz
jab se pesh-e-nazar us yaar kī peshānī hai
sūrat-e-ā.īna hāsil mujhe hairānī hai
ḳhil.at-e-bādshahī ḳhil.at-e-uryānī hai
sard sāmān mirā be-sard sāmānī hai
ḳhāksārī kise kahte haiñ koī kyā jaane
ham ne miTTī tire kūche kī bahut chhānī hai
naġhma-e-sanjī tirī e.ajāz se ai ġhuncha-dahan
murġh-e-tasvīr har ik murġh-e-gulistānī hai
jab se pesh-e-nazar us yar ki peshani hai
surat-e-aina hasil mujhe hairani hai
KHilat-e-baadshahi KHilat-e-uryani hai
sard saman mera be-sard samani hai
KHaksari kise kahte hain koi kya jaane
hum ne miTTi tere kuche ki bahut chhani hai
naghma-e-sanji teri eajaz se ai ghuncha-dahan
murgh-e-taswir har ek murgh-e-gulistani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.