jab se qiston mein baT gaya hun main
jab se qistoñ meñ baT gayā huuñ maiñ
apne mehvar se haT gayā huuñ maiñ
jab shanāsā na mil sakā koī
apnī jānib palaT gayā huuñ maiñ
merā saaya bhī baḌh gayā mujh se
is salīqe se ghaT gayā huuñ maiñ
mil ga.e jo bhī mutma.in lamhe
un se fauran lipaT gayā huuñ maiñ
raushnī jab baḌhī mirī jānib
do-qadam pīchhe haT gayā huuñ maiñ
aarzū Tiis karb tanhā.ī
ḳhud meñ kitnā simaT gayā huuñ maiñ
apnī pahchān ho ga.ī mushkil
gard meñ itnā aT gayā huuñ maiñ
jab se qiston mein baT gaya hun main
apne mehwar se haT gaya hun main
jab shanasa na mil saka koi
apni jaanib palaT gaya hun main
mera saya bhi baDh gaya mujh se
is saliqe se ghaT gaya hun main
mil gae jo bhi mutmain lamhe
un se fauran lipaT gaya hun main
raushni jab baDhi meri jaanib
do-qadam pichhe haT gaya hun main
aarzu Tis karb tanhai
KHud mein kitna simaT gaya hun main
apni pahchan ho gai mushkil
gard mein itna aT gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.