jab se sunā dahan tire ai māh-rū nahīñ
sab chup haiñ ab kisī kī koī guftugū nahīñ
nikle jo qalb se vo mirī aarzū nahīñ
tū mil hī jaa.e gar to maiñ samjhūñ ki tū nahīñ
āñkheñ laḌā rahe ho sar-e-bazm ġhair se
aur mujh se ye bayān ki ham jañg-jū nahīñ
paidā huā hai ek kī zid ek ḳhalq meñ
izzat hai ġhair kī tū mirī aabrū nahīñ
Tāñke na khā.eñ zaḳhmī-e-teġh-e-nigāh-e-nāz
kahne ko ho ki jāma-e-tan meñ rafū nahīñ
ma.ashūq kaun sā hai na ho dil meñ jis kī yaad
is muḳhtasar se baaġh meñ kis gul kī bū nahīñ
ye haal terī va.ada-ḳhilāfī se ho gayā
ab to qasam bhī khāne ko mujh meñ lahū nahīñ
piirī hai āshiqī kā maza jā chukā 'rashīd'
vo ham nahīñ vo dil nahīñ vo aarzū nahīñ
jab se suna dahan tere ai mah-ru nahin
sab chup hain ab kisi ki koi guftugu nahin
nikle jo qalb se wo meri aarzu nahin
tu mil hi jae gar to main samjhun ki tu nahin
aankhen laDa rahe ho sar-e-bazm ghair se
aur mujh se ye bayan ki hum jang-ju nahin
paida hua hai ek ki zid ek KHalq mein
izzat hai ghair ki tu meri aabru nahin
Tanke na khaen zaKHmi-e-tegh-e-nigah-e-naz
kahne ko ho ki jama-e-tan mein rafu nahin
mashuq kaun sa hai na ho dil mein jis ki yaad
is muKHtasar se bagh mein kis gul ki bu nahin
ye haal teri wada-KHilafi se ho gaya
ab to qasam bhi khane ko mujh mein lahu nahin
piri hai aashiqi ka maza ja chuka 'rashid'
wo hum nahin wo dil nahin wo aarzu nahin
Source :
- Book : Gulistan-e-Rasheed (Pg. ghazal-58 page-62)
- Author : Piyare Sahab Rasheed
- Edition : 1952
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.