jab se tera nam lene lag gae
jab se terā naam lene lag ga.e
har taraf yādoñ ke ḳheme lag ga.e
jab se tasvīreñ haTā.ī haiñ tirī
dil kī dīvāroñ pe jaale lag ga.e
us ne bhī gum-nām ḳhud ko kar liyā
ham bhī ḳhāmoshī se jiine lag ga.e
bāñTne aa.e ho merā dard ab
jab mere zaḳhmoñ pe Tāñke lag ga.e
kaash milne kā sabab koī bane
rāste bhī haath malne lag ga.e
maut āsānī se aa.egī nahīñ
ġham mujhe andar se khāne lag ga.e
ḳhvāb āñkhoñ ke 'munazzah' sab mirī
maut kā sāmān hone lag ga.e
jab se tera nam lene lag gae
har taraf yaadon ke KHeme lag gae
jab se taswiren haTai hain teri
dil ki diwaron pe jale lag gae
us ne bhi gum-nam KHud ko kar liya
hum bhi KHamoshi se jine lag gae
banTne aae ho mera dard ab
jab mere zaKHmon pe Tanke lag gae
kash milne ka sabab koi bane
raste bhi hath malne lag gae
maut aasani se aaegi nahin
gham mujhe andar se khane lag gae
KHwab aankhon ke 'munazzah' sab meri
maut ka saman hone lag gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.