jab se teri ata nahin maujud
jab se terī atā nahīñ maujūd
ek bhī iltijā nahīñ maujūd
dekh aa kar mirī hathelī meñ
kyā hai maujūd kyā nahīñ maujūd
Dhiil dene kā ye nahīñ matlab
tum samajh lo ḳhudā nahīñ maujūd
kyā rasā.ī hai dastaras kyā hai
jab koī hausla nahīñ maujūd
ab bhalā kyuuñ havā.eñ pāgal haiñ
ab to koī diyā nahīñ maujūd
jab se teri ata nahin maujud
ek bhi iltija nahin maujud
dekh aa kar meri hatheli mein
kya hai maujud kya nahin maujud
Dhil dene ka ye nahin matlab
tum samajh lo KHuda nahin maujud
kya rasai hai dastaras kya hai
jab koi hausla nahin maujud
ab bhala kyun hawaen pagal hain
ab to koi diya nahin maujud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.