jab se zindagi hua dil gardish-e-taqdir ka
jab se zindagi hua dil gardish-e-taqdir ka
Ambareen Haseeb ambar
MORE BYAmbareen Haseeb ambar
Interesting Fact
A tribute to Ghalib
jab se zindagī huā dil gardish-e-taqdīr kā
roz baḌh jaatā hai ik halqa mirī zanjīr kā
mere hisse meñ kahāñ thiiñ ujlatoñ kī manzileñ
mere qadmoñ ko sadā rasta milā tāḳhīr se
kis liye barbādiyoñ kā dil ko hai itnā malāl
aur kyā andāza ho ḳhamyāza-e-ta.amīr kā
ḳhūn-e-dil jin kī gavāhī meñ huā nazr-e-vafā
rañg to vo uḌ ga.e ab kyā karūñ tasvīr kā
maiñ ne samjhā terī chāhat ko faqat in.āmāt-e-zīst
mujh ko andāza na thā is jurm is ta.azīr kā
ek lab tak hī na pahuñchī jo du'ā thī mustajāb
kis qadar charchā huā hai āh-e-be-tāsīr kā
lafz kī hurmat muqaddam hai dil-o-jāñ se mujhe
sach ta'āruf hai mire har sher har tahrīr kā
jab se zindagi hua dil gardish-e-taqdir ka
roz baDh jata hai ek halqa meri zanjir ka
mere hisse mein kahan thin ujlaton ki manzilen
mere qadmon ko sada rasta mila taKHir se
kis liye barbaadiyon ka dil ko hai itna malal
aur kya andaza ho KHamyaza-e-tamir ka
KHun-e-dil jin ki gawahi mein hua nazr-e-wafa
rang to wo uD gae ab kya karun taswir ka
main ne samjha teri chahat ko faqat inamat-e-zist
mujh ko andaza na tha is jurm is tazir ka
ek lab tak hi na pahunchi jo du'a thi mustajab
kis qadar charcha hua hai aah-e-be-tasir ka
lafz ki hurmat muqaddam hai dil-o-jaan se mujhe
sach ta'aruf hai mere har sher har tahrir ka
- Book : Dil Kay Ufuq Par (Pg. 73)
- Author : Ambareen Haseeb Amber
- Publication : Kitab Market ,Office 17 Urdu Bazar, Karachi, Pakistan (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.