jab sham hui dil ghabraya log uTh ke barae sair chale
jab shaam huī dil ghabrāyā log uTh ke barā.e sair chale
taftīsh-e-sanam ko sū-e-haram ham jaan ke dil meñ dair chale
go bahr-e-alam tūfānī hai har mauj adū-e-jānī hai
ab paañv rukeñge kyā apne is dariyā ko ham pair chale
ab kaam hamārā yaañ kyā hai ye aanā jaanā bejā hai
jis vaqt tumhārī sohbat meñ ham hoñ aur hukm-e-ġhair chale
ham samjhe the yaañ ā.eñge din thoḌā hai rah jā.eñge
par dil kī hasrat dil meñ rahī jab sū-e-makān-e-ġhair chale
go rañj-e-judā.ī hai dil par be-vaqt hai ye daur-e-sāġhar
baiThe haiñ 'habīb' ahbāb magar ab tum bhī kah do ḳhair chale
jab sham hui dil ghabraya log uTh ke barae sair chale
taftish-e-sanam ko su-e-haram hum jaan ke dil mein dair chale
go bahr-e-alam tufani hai har mauj adu-e-jaani hai
ab panw rukenge kya apne is dariya ko hum pair chale
ab kaam hamara yan kya hai ye aana jaana beja hai
jis waqt tumhaari sohbat mein hum hon aur hukm-e-ghair chale
hum samjhe the yan aaenge din thoDa hai rah jaenge
par dil ki hasrat dil mein rahi jab su-e-makan-e-ghair chale
go ranj-e-judai hai dil par be-waqt hai ye daur-e-saghar
baiThe hain 'habib' ahbab magar ab tum bhi kah do KHair chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.