jab sham hui maine qadam ghar se nikala
jab shaam huī maiñ ne qadam ghar se nikālā
Duubā huā ḳhurshīd samundar se nikālā
har-chand ki is rah meñ tahī-dast rahe ham
saudā-e-mohabbat na magar sar se nikālā
jab chāñd numūdār huā duur ufuq par
ham ne bhī parī-zād ko patthar se nikālā
dahkā thā chaman aur dam-e-sub.h kisī ne
ik aur hī mafhūm gul-e-tar se nikālā
us mard-e-shafaq-fām ne ik ism paḌhā aur
shahzādī ko dīvār ke andar se nikālā
jab sham hui main ne qadam ghar se nikala
Duba hua KHurshid samundar se nikala
har-chand ki is rah mein tahi-dast rahe hum
sauda-e-mohabbat na magar sar se nikala
jab chand numudar hua dur ufuq par
hum ne bhi pari-zad ko patthar se nikala
dahka tha chaman aur dam-e-subh kisi ne
ek aur hi mafhum gul-e-tar se nikala
us mard-e-shafaq-fam ne ek ism paDha aur
shahzadi ko diwar ke andar se nikala
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 47)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.