jab sine se marne ka Dar niklega
jab siine se marne kā Dar niklegā
aur hī kuchh ye ḳhaak kā paikar niklegā
bo jo rahā huuñ amn-o-amāñ kī fasleñ maiñ
dekhnā kal is ḳhaak se lashkar niklegā
sail banegā hone kā idrāk kabhī
is manzar se aur hī manzar niklegā
duniyā jiite jī jo duniyā ho na sakī
siine se ye armāñ mar kar niklegā
gul-chīnoñ ke zulm kī koī had hī nahīñ
kis din har ik shāḳh se ḳhanjar niklegā
jidd-o-jahd kī jis se bāteñ hotī haiñ
kyā hogā jab ik din muḳhbar niklegā
'bedī' merā qadam hī hogā duniyā meñ
jo hadd-e-imkāñ se bāhar niklegā
jab sine se marne ka Dar niklega
aur hi kuchh ye KHak ka paikar niklega
bo jo raha hun amn-o-aman ki faslen main
dekhna kal is KHak se lashkar niklega
sail banega hone ka idrak kabhi
is manzar se aur hi manzar niklega
duniya jite ji jo duniya ho na saki
sine se ye arman mar kar niklega
gul-chinon ke zulm ki koi had hi nahin
kis din har ek shaKH se KHanjar niklega
jidd-o-jahd ki jis se baaten hoti hain
kya hoga jab ek din muKHbar niklega
'bedi' mera qadam hi hoga duniya mein
jo hadd-e-imkan se bahar niklega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.