jab tabiat hi na hazir ho huzuri kya hai
jab tabī.at hī na hāzir ho huzūrī kyā hai
zohd ho vaj.h-e-tafāḳhur to zarūrī kyā hai
ḳhalaq ke Dar se jo sajda bhī hai īqān bhī hai
naam tuurī ho qusūrī ho futūrī kyā hai
rak.ateñ dil se paḌho aaTh hoñ bārah hoñ yā biis
shart iḳhlās hai aadhī hoñ yā puurī kyā hai
ye to varzish hai qavā.ed haiñ na rasm aur rivāj
dil se niklegī to vaañ jaane meñ duurī kyā hai
us ke darbār meñ bas ijz hai sikka raa.ij
ho bashar ḳhākī ki naarī ho ki nuurī kyā hai
jab tabiat hi na hazir ho huzuri kya hai
zohd ho wajh-e-tafaKHur to zaruri kya hai
KHalaq ke Dar se jo sajda bhi hai iqan bhi hai
nam turi ho qusuri ho futuri kya hai
rakaten dil se paDho aaTh hon barah hon ya bis
shart iKHlas hai aadhi hon ya puri kya hai
ye to warzish hai qawaed hain na rasm aur riwaj
dil se niklegi to wan jaane mein duri kya hai
us ke darbar mein bas ijz hai sikka raij
ho bashar KHaki ki nari ho ki nuri kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.