jab tak hum hain mumkin hi nahin na-mahram mahram ho jaen
jab tak ham haiñ mumkin hī nahīñ nā-mahram mahram ho jaa.eñ
aatā hai unheñ ġhussa aa.e hote haiñ vo barham ho jaa.eñ
duniyā-e-masarrat ke lamhe ab is se kyā kam ho jaa.eñ
hoñToñ par hañsī aane vaalī ho āñkheñ pur-nam ho jaa.eñ
ham us ke aañkh se ojhal hone kā matlab kyā lete haiñ
vo aañkh se ojhal ho to nazāre darham-barham ho jaa.eñ
hālāt ko har har mauqa.a par ik bhes badalnā lāzim hai
kāñToñ meñ dāman ban jaa.eñ phūloñ par shabnam ho jaa.eñ
us kāfir aisī mastāna raftār kahāñ se lā.eñge
ash.ār mujassam ho jaa.eñ afkār munazzam ho jaa.eñ
un kī rahmat se duur nahīñ lekin is par majbūr nahīñ
iġhmāz kareñ har laġhzish par sajdoñ par barham ho jaa.eñ
ahbāb ko aise gulshan meñ fitne baune se kyā hāsil
jab do dil mohkam ho jaa.eñ jab va.ade paiham ho jaa.eñ
us vaqt bhī zohd-o-taqva par qaa.em rah jā.ūñ tab kahnā
jis vaqt mujhe mai-noshī ke asbāb farāham ho jaa.eñ
samjho ki javānī ḳhvāb meñ hai ruḳh bāñhoñ kī mehrāb meñ hai
jab taare dhīme paḌ jaa.eñ jab sham.eñ maddham ho jaa.eñ
un ḳhvāb-ālūda āñkhoñ kī tarkīb samajh meñ aa jaa.e
ai 'shād' agar paimānoñ meñ mai-ḳhāne mudġham ho jaa.eñ
jab tak hum hain mumkin hi nahin na-mahram mahram ho jaen
aata hai unhen ghussa aae hote hain wo barham ho jaen
duniya-e-masarrat ke lamhe ab is se kya kam ho jaen
honTon par hansi aane wali ho aankhen pur-nam ho jaen
hum us ke aankh se ojhal hone ka matlab kya lete hain
wo aankh se ojhal ho to nazare darham-barham ho jaen
haalat ko har har mauqa par ek bhes badalna lazim hai
kanTon mein daman ban jaen phulon par shabnam ho jaen
us kafir aisi mastana raftar kahan se laenge
ashaar mujassam ho jaen afkar munazzam ho jaen
un ki rahmat se dur nahin lekin is par majbur nahin
ighmaz karen har laghzish par sajdon par barham ho jaen
ahbab ko aise gulshan mein fitne baune se kya hasil
jab do dil mohkam ho jaen jab wade paiham ho jaen
us waqt bhi zohd-o-taqwa par qaem rah jaun tab kahna
jis waqt mujhe mai-noshi ke asbab faraham ho jaen
samjho ki jawani KHwab mein hai ruKH banhon ki mehrab mein hai
jab tare dhime paD jaen jab shamen maddham ho jaen
un KHwab-aluda aankhon ki tarkib samajh mein aa jae
ai 'shad' agar paimanon mein mai-KHane mudgham ho jaen
- Book : Kulliyat-e-Shad Aarfi (Pg. 164)
- Author : Muzaffar Hanfi
- Publication : National Academy Delhi (1975)
- Edition : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.