jab tak junun junun hai gham-e-agahi bhi hai
jab tak junūñ junūñ hai ġham-e-āgahī bhī hai
yā'nī asīr-e-naġhma mirī be-ḳhudī bhī hai
khilte haiñ phuul jin ke tabassum ke vāste
shabnam meñ un ke 'aks kī āzurdagī bhī hai
kuchh sā'atoñ kā rang mire saath saath hai
vo nik.hat-e-bahār magar ajnabī bhī hai
zinda huuñ maiñ ki aag jahannam kī ban sakūñ
firdaus-e-ārzū mire dil kī kalī bhī hai
is yaad kā bhañvar mere ehsās meñ rahā
iz.hār-e-mauj mauj kī nā-guftanī bhī hai
palkoñ pe chāñdnī ke takallum kī aañch thī
hoñToñ pe guftugū ke liye tishnagī bhī hai
kyuuñ tīrgī se is qadar mānūs huuñ 'zafar'
ik sham-e-rah-guzar ki sahar tak jalī bhī hai
jab tak junun junun hai gham-e-agahi bhi hai
ya'ni asir-e-naghma meri be-KHudi bhi hai
khilte hain phul jin ke tabassum ke waste
shabnam mein un ke 'aks ki aazurdagi bhi hai
kuchh sa'aton ka rang mere sath sath hai
wo nikhat-e-bahaar magar ajnabi bhi hai
zinda hun main ki aag jahannam ki ban sakun
firdaus-e-arzu mere dil ki kali bhi hai
is yaad ka bhanwar mere ehsas mein raha
izhaar-e-mauj mauj ki na-guftani bhi hai
palkon pe chandni ke takallum ki aanch thi
honTon pe guftugu ke liye tishnagi bhi hai
kyun tirgi se is qadar manus hun 'zafar'
ek sham-e-rah-guzar ki sahar tak jali bhi hai
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 111)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.