jab tak KHarab-haal ka mara nahin bana
jab tak ḳharāb-hāl kā maarā nahīñ banā
vo aadmī kisī kā sahārā nahīñ banā
iz.hār pyaar kā vo ishāre meñ kar ga.ī
mujh se javāb kā bhī ishāra nahīñ banā
itnī pasand thī use ye suunī tīrgī
vo mar gayā thā phir bhī sitāra nahīñ banā
kis aas meñ safīnoñ ne chhoḌā hai chhor ye
is or to abhī bhī kinārā nahī banā
us par luTā.īñ sab ne zakāteñ bhī tab talak
jab tak ki auroñ pe vo ḳhasārā nahīñ banā
jab tak KHarab-haal ka mara nahin bana
wo aadmi kisi ka sahaara nahin bana
izhaar pyar ka wo ishaare mein kar gai
mujh se jawab ka bhi ishaara nahin bana
itni pasand thi use ye suni tirgi
wo mar gaya tha phir bhi sitara nahin bana
kis aas mein safinon ne chhoDa hai chhor ye
is or to abhi bhi kinara nahi bana
us par luTain sab ne zakaten bhi tab talak
jab tak ki auron pe wo KHasara nahin bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.