jab tak ye ghar mein qaid thi kitna sukun tha
jab tak ye ghar meñ qaid thī kitnā sukūn thā
ab saath saath chaltī hai tanhā.iyāñ mirī
āh-o-fuġhāñ bhī rā.egāñ hai un ke shor meñ
dushman banī huī hai ye shahnā.iyāñ mirī
ek āftāb matl.a-e-dil par huā tulūa
qaus-e-quzah meñ chhup ga.iiñ parchhā.iyāñ mirī
pahrā haTe jo un kā to maiñ khul ke saañs luuñ
chhoḌeñgī kab akelā ye tanhā.iyāñ mirī
har sub.h jāgte hue maiñ sochtā huuñ 'nūr'
kahtī hai kuchh na kuchh to ye añgḌā.iyāñ mirī
jab tak ye ghar mein qaid thi kitna sukun tha
ab sath sath chalti hai tanhaiyan meri
aah-o-fughan bhi raegan hai un ke shor mein
dushman bani hui hai ye shahnaiyan meri
ek aaftab matla-e-dil par hua tulua
qaus-e-quzah mein chhup gain parchhaiyan meri
pahra haTe jo un ka to main khul ke sans lun
chhoDengi kab akela ye tanhaiyan meri
har subh jagte hue main sochta hun 'nur'
kahti hai kuchh na kuchh to ye angDaiyan meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.