jab talak dil imam tha hi nahin
jab talak dil imaam thā hī nahīñ
koī aalī maqām thā hī nahīñ
mustaqil ek be-sabātī hai
kuchh yahāñ par mudām thā hī nahīñ
aao us kā ḳhitāb sunte haiñ
vo jo mahv-e-kalām thā hī nahīñ
chalte chalte maiñ aa gayā huuñ yahāñ
varna tujh se to kaam thā hī nahīñ
pī rahā thā maiñ us kī āñkhoñ se
mai-kade meñ to jaam thā hī nahīñ
apnī apnī namāz thī sab kī
masjidoñ meñ imaam thā hī nahīñ
vo bhī dil ke pate pe aayā hai
ḳhat hamāre jo naam thā hī nahīñ
maiñ musāfir thā apnī rāhoñ kā
rāstoñ kā ġhulām thā hī nahīñ
roz jaltā thā tāq-e-jāñ meñ 'sahar'
aur phir ek shaam thā hī nahīñ
jab talak dil imam tha hi nahin
koi aali maqam tha hi nahin
mustaqil ek be-sabaati hai
kuchh yahan par mudam tha hi nahin
aao us ka KHitab sunte hain
wo jo mahw-e-kalam tha hi nahin
chalte chalte main aa gaya hun yahan
warna tujh se to kaam tha hi nahin
pi raha tha main us ki aankhon se
mai-kade mein to jam tha hi nahin
apni apni namaz thi sab ki
masjidon mein imam tha hi nahin
wo bhi dil ke pate pe aaya hai
KHat hamare jo nam tha hi nahin
main musafir tha apni rahon ka
raston ka ghulam tha hi nahin
roz jalta tha taq-e-jaan mein 'sahar'
aur phir ek sham tha hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.